🔸Pyaar Karne Waalo Ka Nikah🔸
Waise To Ladko Aur Ladkiyo Ko Pyaar, Muhabbat Aur Ishq Ke Naam Se Bhi Door Rehna Chahiye Lekin Agar Koi Is Beemari Mein Mubtala Ho Jaaye To Ishq Ka Izhaar Karne, Tohfa Dene, Baatein Aur Mulaqatein Karne Ke Bajaye Nikah Ki Koshish Karni Chahiye
Huzoor -e- Akram ﷺ Ka Irshad Hai :
لم یر للمتحابین مثل التزوج
Do Muhabbat Karne Waalo Ka Humein Nikah Se Behtar Koi Hal Nazar Nahin Aata
Ab Chunki Ladke Aur Ladkiyo Ko Schools, Colleges Aur Universities Mein Saath Padhaya Jaata Hai To Is Bala Mein Padna Laazmi Hai
Ab To Log Itne Aage Nikal Chuke Hain Ke Ladkiyo Ko Beparda Padhne Ke Liye Bhejna Ghalat Hi Nahin Samajhte
Ladko Ko Gaadi Aur Smartphone Ke Saath Jeb Kharch (Pocket Money) De Kar Maa Baap Apne Aap Ko Achha Samajhte Hain, Aise Halaat Mein Kabhi Bhi Aap Ko Apne Bete Ki "Girlfriend" Aur Apni Beti Ke "Boyfriend" Ki Ziyarat Ka Sharf Haasil Ho Sakta Hai!
Agar Koi Sharayi Wajah Na Ho To Behtari Isi Mein Hai Ke Fitne Ko Rokne Ke Liye In Ka Nikah Kar Diya Jaaye, Agar Kisi Wajah Se Nikah Na Ho Sake To Awlaad Ko Bhi Chahiye Ke Jaldbazi Mein Koi Qadam Na Uthayein Balki Sabr Se Kaam Lein.
@taaleem_e_taaluum